Once you’re logged in, the songs you make and like, your playlists, groups and the artists you follow live here.
Tu khoob hai aur khoob nazar aata hai
Tu nahi hota to tera na hona tadpaata hai
Hum se na ho sakay ga baya'n woh
Jo sukoon tere sang aata hai
Nahi ghabraata jo mushkilon se
Woh dil tere bichhadne se darr jaata hai
Har pal tujhe hi chaahay dekhna mann mera
Siwa tere koi chehra na issay bhaata hai
Toot kar chaahna ya phir chaah kar tootna
Rehna har haal mein hi tera chaahta hai
Aagah hai ishq ki dushwaariyon se
Jaan kar jaan par har sitam sehta hai
Comments
No comments yet.