Lyrics
Intro
Hmm
Hmm-mm
Verse 1
Aisa lamha udhaar de koi
Jis mein sadiyan guzaar de koi
Baad muddat ke khat likhe woh mujhe
Aur kabootar ko maar de koi
Short Music Pause
Chorus
Kya kiya (kya kiya)
Kya kiya (kya kiya)
Kya kiya (kya kiya)
Kya kiya
Verse 2
Mast rakhe jo hosh mein bhi mujhe
Ab to aisa khumaar de koi
Ek waada ki jis ke saaye mein
Umr saari guzaar de koi
Instrumental Break
Verse 3
Ye jo sardaar ban ke baitha hai
Us ki pagdi utaar de koi
Kya khabar haadsati duniya mein
Kab kahan mujh ko maar de koi
Chorus
Kya kiya (kya kiya)
Kya kiya (kya kiya)
Kya kiya (kya kiya)
Kya kiya
Verse 4
Dasht ko ghar bana ke baitha hoon
Is ko aa kar sanwaar de koi
Kisi ko khaar kisi saans ko babool kiya
Jo hum ne kaar-e-mohabbat kiya fuzool kiya
Music Break
Verse 5
Rah-e-hayaat mein aasaishon ko thukra kar
Tumhare dard ko maine sada qubool kiya
Ek waada ki jis ke saaye mein
Umr saari guzaar de koi
Chorus
Kya kiya (kya kiya)
Kya kiya (kya kiya)
Kya kiya (kya kiya)
Kya kiya
Outro
Kya kiya
Kya kiya
Mm-mm


Comments
No comments yet.