Skip to main
Miloge kya ?? artwork

Miloge kya ??

godmusic

· 4:09 · 13 plays · v3-preview

About

Lyricist Theme Idea: Arpita kumari

Lyrics

Intro

(Soft melody)

Mm... khabar hi nahi thi yaara

Hum is tarah alag honge

Verse 1

Wohi rasta wohi shaam bas tum nahi ho

Dil ke har hisse mein ab tum hi tum ho

Likhi thi kahani tumhare naam ki

Waqt ne badal di tasveer shaam ki

Pre-Chorus

Poori na sahi adhoori baatein karoge kya

Khamosh hi sahi paas aakar baithoge kya

Chorus

Bikhre kaanch ko fir se jod paoge kya

Jo chooth gaya haath tham paoge kya

Mohabbat sab karte hain is zamane mein

Andar jo toota hai usse basayoge kya

Ek aakhri baar wapas aayoge kya

Verse 2

Khwaab dekhe the humne unka kya hua

Chhute jo haath kis mod par hua

Tum kehte ho lafzon mein jatana aasan hai

Humne seekha chup reh ke rishte bachana

Pre-Chorus

Taqdeer ke panne fir se palat paoge kya

Jo lamhe dhal gaye wapas laa paoge kya

Chorus

Bikhre kaanch ko fir se jod paoge kya

Jo chooth gaya haath tham paoge kya

Mohabbat sab karte hain is zamane mein

Andar jo toota hai usse basayoge kya

Ek aakhri baar wapas aayoge kya

Bridge

Dil bharosay se darta hai ab

Har shakhs chhod kar chala jata hai

Is bheed mein hum akhele reh gaye

Zakhm chup-chap seh gaye yaara

Marham ban ke aayoge kya

Ya ek kahani ban ke guzar jaoge

Outro

Hath ki lakeerein shayad alag ho gayeen

Par meri duayein ab bhi wahi hain

Bas ek baar ek aakhri baar

Wapas miloge kya

Comments1